|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
|
| |
|
|
|
Ek Falsafa Pyar ka
Kitna nasamajh tha main, nahi samajh paya jo us -prem ko; jisko tumne kabhi abhivyakt nahi kiya bus apni palkon me hi sanjo ke rakha.......
Kyo na dekh paya wo tripti un nayanon me; jo chamak banke ubharti thee jab sahasa mil jate the hum kahin..............
Kyo na mahsoon kar paya wo thande hathon ka sparsh garam hatheli par jo sada kahna chahti thee shayad thaam lo mujhe ab main tumhari hoon..............
Kyo na ahsaas kar paya wo kampan tumhare labho ka jo kahna to bahoot kuchh chahtey the par kuchh soch kar rook jate the.................
Kyo na sun paya wo madhosh dharkano ko jo chapal hirni si bedharak bus bhagi ja rahi thee.............
Kitna nasamajh tha main nahi samajh paya kabhi prem wo jazbaat hai jiski anubhuti sabdo se nahi hoti Dil ki baat dil hi samajh pata hai labho ki jaroorat nahi hoti
Ch@ru
|
|
| | |
|
|
|
|
|
|
|