Kaare Badra................
Jab chaaye ye kare badra
yaad bachpan ki aati hai
hawa me sar sar karti chunari
maa ki yaad dilati hai
jab pakra kartey chhote mendak
aagan me naaw chalatey thee
maa kitna bhi mana kare par
tanik bhi mauka milne par
is aagan se us aagan par
din bhar dour lagatey the..........
bachpan ke sangi sath sab
khate bhuute, jamun, aam
papa ke aane ke pahley
rachatey the parne ka swang.
papa ka shabashi dena
ma ka tirchha muskura dena
phir aati adarak ki chai
sath pakore lati maa
kitna bhatey thee
humko wo barsati din
nai kitabe, dress aur bastey
nai umango wale din............
jee karta hai aaj
baawri ho jaoon main
tap-tap karti boondo ke sang
megh-malhaar gaoon main
wo bachpan ke din sajeele
kaha se wapas paoon main.........